PREM - APARIBHASHITT |
Prem agaadh Prem...Prem ka koi naa antt hai...
Prem Amitt, Amar, sarv vyapt... Prem adbhut Anant hai....
Prem ki koi bhasha nahi....koi paribhasa nahi....
Na bandhan hai...na jatiltaa...Prem to sadgi main jeevant hai....
Prem main sarvasva Brahmand nihit....
Anu kann, bhu,bhaav,shakti...sabhi Prem se hi Nirmit....
Prem ke roop swaroop hain vibhin prakar...
Prem to nishkalank hai,nirmal hai,nischhal hai, hai wo Nirakar....
Prem to ibadat hai...dua hai...rabb ka hai sarmaya..
Prem to Maa ki mamta hai....uske ansh main hai samaya...
Prem uss megh ki boond main hai....
Jo tript dhara ko karti hai....
Prem Surya chhata main hai....
Jo jalkar hum main aag bharti hai...
Prem to har vyakti vyaktitva main hai....
Prem...Prem to Prem ke Astitava main hai...
Prem uss Premi ke saman hai...
Jo Premi ke Prem me Sammohit swayam se Anbhigya anjaan hai...
Prem agaadh Prem...Prem ka koi naa antt hai....
Prem Amitt,Amar, sarv vyapt...Prem adbhut anant hai...
No comments:
Post a Comment